Ab Ke Hum Bichray to Shahyed Kabhi Khawabon Mein Milein
Jis tarah sookhay hue phool kitabon mein milein
Dhoond ujray hue logon mein wafa ke moti
yeh khazanay tujhe mumkin hai kharabon mein milein
Gham e duniya bhi gham e yaar mein shamil kar lo
nashi barhta hai sharabein jo sharaabon mein milein
Tu Khuda hai na mera ishq farishtaon jaisa
dono insaan hein to kiyon itne hijabon mein milein
aaj hum daar pe khainchay gaye jin baton par
kya ajab kal wo zamanay ko nisabon mein milein
ab na woh mein hoon na woh maazi hai Faraz
jaisay do saye tammana ke sarabon mein milein

Poet: Ahmad Faraz
Voice: Imran Sherazi
اب کے ہم بچھڑے تو شاید کبھی خوابوں میں ملیں
جس طرح سوکھے ہوئے پھول کتابوں میں ملیں
ڈھونڈ اُجڑے ہوئے لوگوں میں وفا کے موتی
یہ خزانے تجھے ممکن ہے خرابوں میں ملیں
غمِ دنیا بی غمِ یار میں شامل کر لو
نشہ بڑھتا ہے شرابیں جو شرابوں میں ملیں
تو خدا ہے نہ میرا عشق فرشتوں جیسا
دونوں انساں ہیں و کیوں اتنے حجابوں میں ملیں
آج ہم دار پہ کھینچے گئے جن باتوں پر
کیا عجب کل وہ زمانے کو نصابوں میں ملیں
اب نہ وہ میں میں ہوں نہ تو ہے نہ وہ ماضی ہے فرازؔ
جیسے دو شخص تمنا کے سرابوں میں ملیں
شاعر: احمد فرازؔ
آواز: عمران شیرازی
Comments
Post a comment