Har Koi Dil Ki Hatheli Pay Hai Sehra Rakhe
Kis Ko Sairaab Kare Wo Kise Pyasa Rakhe
Umar Bhar Kaun Nibhata Hai Ta’lluq Itna
Ai Meri Jaan Ke Dushman Tujhe Allah Rakhe
Hum Ko Acha Nahin Lagta Koi Hum Nam Tera
Koi Tujh Sa Ho Tu Pir Nam Bhi Tera Rakhe
Dil Bhi Pagal Hai Ke Us Shakhs Se Waabasta Hai
Kisi Aur Ka Hone De Na Apnaa Rakhe
Kam Nahin Tuma Ebadat Bhi To Hirs-E-Zar Se
Fuqr To Wo Hai Ke Jo Deen Na Duniya Rakhe
Huns Na Itna Bhi Faqeeroon Ke Akele-Pan Par
Ja Khuda Meri Tarah Tujh Ko Bhi Tanha Rakhe
Ye Qinna'at Hai Ata'at Hai Ke Chaahat Hai ‘Faraz’
Hum To Raazi Hain Wo Jis Haal Main Jaisa Rakhe
Poet: Ahmad Faraz
Voice: Imran Sherazi
ﮨﺮ ﮐﻮﺋﯽ ﺩﻝ ﮐﯽ ہتھیلی ﭘﮧ ﮨﮯ ﺻﺤﺮﺍ ﺭﮐﮭﮯ
ﮐﺲ ﮐﻮ ﺳﯿﺮﺍﺏ ﮐﺮﮮ ﮐﺴﮯ ﭘﯿﺎﺳﺎ ﺭﮐﮭﮯ
ﻋﻤﺮ ﺑﮭﺮ ﮐﻮﻥ ﻧﺒﮭﺎﺗﺎ ﮨﮯ ﺗﻌﻠﻖ ﺍﺗﻨﺎ
ﺍﮮ ﻣﯿﺮﯼ ﺟﺎﻥ ﮐﮯ ﺩﺷﻤﻦ ﺗﺠﮯ ﺍﻟﻠﮧ ﺭﮐﮭﮯ
ﮨﻢ ﮐﻮ ﺍﭼﮭﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﻟﮕﺘﺎ ﮐﻮﺋﯽ ﮬﻢ ﻧﺎم ﺗﺮﺍ
ﮐﻮﺋﯽ ﺗﺠﮫ ﺳﺎ ﮨﻮ ﺗﻮ ﻧﺎﻡ ﺑﮭﯽ ﺗﺠﮫ ﺳﺎ ﺭﮐﮭﮯ
ﺩﻝ ﺑﮭﯽ ﭘﺎﮔﻞ ﮨﮯ ﮐﮧ ﺍﺱ ﺷﺨﺺ ﺳﮯ ﻭﺍﺑﺴﺘﮧ ﮨﮯ
جوﮐﺴﯽ ﺍﻭﺭ ﮐﺎ ﮨﻮﻧﮯ ﺩﮮ ﻧﮧ ﺍﭘﻨﺎ ﺭﮐﮭﮯ
ﮨﻨﺲ ﻧﮧ ﺍﺗﻨﺎ ﺑﮭﯽ ﻓﻘﯿﺮﻭﮞ ﮐﮯ ﺍﮐﯿﻠﮯ ﭘﻦ ﭘﺮ
ﺟﺎ، ﺧﺪﺍ ﻣﯿﺮﯼ ﻃﺮﺡ ﺗﺠﮫ ﮐﻮ ﺑﮭﯽ ﺗﻨﮩﺎ ﺭﮐﮭﮯ
ﯾﮧ ﻗﻨﺎﻋﺖ ﮨﮯ ﺍﻃﺎﻋﺖ ﮨﮯ ﮐﮧ ﭼﺎﮨﺖ ﮨﮯ ﻓﺮﺍﺯ
ﮨﻢ ﺗﻮ ﺭﺍﺿﯽ ﮨﯿﮟ ﻭﮦ ﺟﺲ ﺣﺎﻝ ﻣﯿﮟ ﺟیسا ﺭﮐﮭﮯ
شاعر: احمد فراز
آواز: عمران شیرازی
Comments
Post a Comment